Menu
blogid : 4487 postid : 6

PEHCHAN INSAN KI

INDIAN HISTORY
INDIAN HISTORY
  • 7 Posts
  • 0 Comment

Dastur ajib-o-garib hai Is duniya ki pehchan ke,
Insan samazte hai dusaro ko sirf apni najar se!!!

Vyatha samazte hai humari… bahaye jo aansoo khushi ke,
Pehchan khushi ki yaha hoti hai sirf hothon ki Hansi se!!!

Manzil samzte hai humari… chadte jo shooli hum hans ke,
Pehchan ghum ki yaha hoti hai sirf aankhon ke ansoon se!!!

Murakh samazte hai log… dekhate jo natak chup reh ke,
Pehchan insaan ki yaha hoti hai sirf kahani ke patra se!!!

Patthar samzte hai log… Sehate hai jo hum dil jala ke,
Pehchan Jalane ki yaha hoti hai sirf usaki raakh se!!!

Zinda samajte hai log… dekhate jo dikhava saans le ke,
Pehchan Maut ki yaha hoti hai sirf bandh padi ankho se!!!

Arvind Nigam

Mob:-9015767768

arvindkumar. ravi@yahoo. com

Tags:   

Read Comments

    Post a comment