Menu
blogid : 4487 postid : 3

KISI NA KISI PE

INDIAN HISTORY
INDIAN HISTORY
  • 7 Posts
  • 0 Comment

Kisi na kisi pe kisi ko aetbaar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
Khubiyon se nahin hoti mohabbat sadaa,
Khamiyon se bhi aksar pyar ho jata hai.

Kin lafzon mein itni kadvi kasili baat likhoon,
Main sach likoon ke apne haalat likhoon,
Kaise likhoon main chandni raatein,
Jab garam ho ret to kaise main barsat likhoon.

Sabhi nagme saaz mein gaaye nahi jaate,
Sabhi lowg mehfil mein bulaaye nahi jaate,
Kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate,
Kuch door reh kar bhi bhoolaye nahi jaate!

Who ik dost jo pyara sa lagta hain,
Bahut pass hai dil k phir bhi juda sa lagta hain,
Bahut dino se aaya nahi koi paigam uska,
Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hain

Zindagi to ek khwab hai,
Woh zindagi kiya jismay khwab nahi hotay,
Hath ke lakiron ko kismat na samajhna,
Kismat unke bhi hote hai, zinkay hath nahi hotay.

Arvind Nigam

Mob:9015767768

arvindkumar. ravi@yahoo. com

Tags:   

Read Comments

    Post a comment